Games

Play Free Games And Have Fun!

How To Attract A Boy

In this article we shall tell you how you can get men or boys to notice you and approcah you and come and talk to you.

How To Attract A Girl

Are you searching for tips on how to attract girls? Well stop your searching, you've found it. Welcome to Pick Up Artist Magazine. 100% Free!

Magic Revealed

Some Magic Tips And We Will Teach How To Do Magic

Fun

Have Fun With Us Enjoy Your Stay!

Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Sunday, 8 April 2012

Aey Neend Aa Bhi Ja


Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey Charagh,



Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!! 

Mohabbat Jis Ke Bagher App Ki


MOHABBAT!

Jis Ke Bagher App Ki Zindagi Adhori Hay.

Jis Ke Bagher Her Rishta Be Mayeni Hay.

MOHABBAT

Jis Ke Bagher Kainat Ka Her Rung Be Rung Hay.

Jis Ke Bagher Her Ehsaas Khali Burtan Ki Terha.

MOHABBAT.

Jis Ke Bagher Insaan Bemool.

MOHABBAT.

Jo Anmool Bana Deti Hay Her Rishte Her Ehsaas Ko.

Her Shey Her Rung Ko.

Sirf Ek Br Apne Honto Se


Sirf Ek Br Apne Honto Se Mjhe Apna Keh Do
...GALIB...


Phr Mehfil Me Raqeebon Ka Tamasha Dekho...! 

Dil Karta Hai K Lipat Jaon


 DiL Karta Hai K Lipat Jaon ROOH Ban Kar Tere Jisam Se.....


* K Jab Tum Se Juda Hon To Teri JAAN Hi Nikal Jaye....... 

Agosh E Muhbat Mein


>>>Ay Raat Tum To Agosh_e_Muhbat Mein So Jaya Kro ........

Hamain To Aadat Hai Sitaron Ki Rakhwali Ki .... 

Mai Us Main Kho Gya Hon


Uljha Rahi Hai Mujh Ko,
Yehi Kash Makash
Musalsal!!

Wo Aa Basa Hai Mujh Mei,
Ya Mai Us Mei Kho
Gaya Hoon....

Hont Hilaoon Kaise


Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaoon Kaise
Haal Jaisa Bhi Hai Logon Ko Sunaoon Kaise
Wo Rulata Hai Rulaye Mujhe Jee Bhar Ke
Meri Ankhein Hai Woh, Main Us Ko Rulaoon Kaise...

Chah Kar Bhi Hamko


Chah Kar Bhi Hamko Bhula Do To Koi Bat Nahi
Tum Ko Koi Aur Bulayega To Mushkil Nahi
Laga Ke Dil Hamse Tod Do To Koi Bat Nahi
Dil Kisi Aur Ka Todoge To Mushkil Hogi
Mere Jajbato Se Khelo To Koi Bat Nahi
Fir Kisi Aur Se Kheloge To Mushkil Hogi
Meri Khushiyon Ko Kuchal Do To Koi Bat Nahi
Khushiyan Kisi Aur Ki Chhinoge To Mushkil Hogi 

Saturday, 7 April 2012

Ao K Isqadar Meray Tum Ho Jao

Meri Choriyon Ki Sorat
Meri Bahoon Men Utar Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Mehndi K Rang Men Dhal Jao
Meray Hathoon Pe Tum Saj Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Bindiya Ki Manind, Sitaroon K Jaisay
Meray Mathay Pe Tum Chamak Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Muhbbat Say Muhbbat Ki Larriyan Piro Kar
Meray Galay Ka Tum Har Ho Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Muj Men Khuch Yun Tum Utar Jao
Meri Nas Nas Men Sama Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Laboon Ki Muskurahat Ho Jao
Meri Ankhoon Ki Sharart Ho Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Har Raz K Tum Mehram Raz Ho Jao
Meray Gamgusar Ho Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao

Meri Khushi, Mera Andaz Ho Jao
Meri Rooh, Mera Libas Ho Jao
Ao K Isqadar
Meray Tum Ho Jao